Hariharan - Subah ki dhoop si

Hari:
subah ki dhoop si, shaam ke roop si
meri saanson mein thi jiski parchhaaiyaan
dekh kar tumko lagtaa hai tum ho vohi
sochti thi jise meri tanhaaiyaan
thaa tumhaara hi mujhe intezaar -2
haan intezaar

Shreya:
dhoop mein chaanv si, shahar mein gaanv si
meri raahon mein thi jiski parchhaaiyaan
dekh kar tumko lagtaa hai tum ho vohi
sochti thi jise meri tanhaaiyaan
thaa tumhaara hi mujhe intezaar -2
haan intezaar

Hari:
ho.., jab tum gum thi, tab bhi tum thi
jitnaa main thaa, utni tum thi

Shreya:
ho.... door the jab tum, paas the aise
neend se jhaanke sapnaa jaise
koi jaanaa, *Laughs* apnaa jaise

Hari:
subah ki dhoop si, shaam ke roop si

Shreya:
meri raahon mein thi jiski parchhaaiyaan

Hari:
dekh kar tumko lagtaa hai tum ho vohi

Shreya:
sochti thi jise meri tanhaaiyaan

Hari:
thaa tumhaara hi mujhe intezaar

Shreya:
thaa tumhaara hi mujhe intezaar, haan intezaar

Shreya:
panchhi jaage, manzar Dole
ghar ke chhup chhup haan kone bole

Hari:
lekar tumse roop sunharaa
dhulaa andheraa sajaa saveraa
har darpan mein ho ek hi chehraa

Shreya:
dhoop mein chaavv si, shahar mein gaavv si
meri raahon mein thi jiski parchhaaiyaan
dekh kar tumko lagtaa hai tum ho vohi

Hari:
sochti thi jise meri tanhaaiyaan
thaa tumhaara hi mujhe intezaar

Shreya:
thaa tumhaara hi mujhe intezaar, haan intezaar

Hari:
( subah ki dhoop si, shaam ke roop si
meri saanson mein thi jiski parchhaaiyaan ) -2